Blog Commenting Krne Se Kya Kya Fayde Ho Sakte Hain
Blog Commenting Kyo jruri hai aaj hum ess par baat krenge. Comment kisi bhi post ki jaan hote hai chahe blog post ho ya facebook post. Ess se aapke vicharo ke baare me pta chlta hai ki jo baat post me btaai gyi hai uske baare apki kya soch hai.
Kisi bhi blog ya post par ap comment krte ho to aapko uska fayda hi milega nuksan nhi. Kyoki ess se koi nuksaan hai hi nhi to hoga kaise. Main daily 10-20 comment other blog par krta hun. Lagbhag 100 se jyada blog ko main subscribe bhi kar chuka. Agr main other blog par active rahunga to log mujhe pahchan skenge.
Aapne dekha hoga sabhi sites ek comment box deti hai. Kya kabhi aapne socha hai ki comment box kyo diya jata hai. Comment hi ek jriya hota hai ek dusre se relation bnane ka. Ess topic par to ye bahut bdi post ho jayegi essliye sirf blog commenting ki baat krenge.
Backlink
Blog comment krne se aapke blog ka ek backlink bnta hai jis se blog ko search engine me fast indexing hoti hai. Waise to jyadatar blog “nofollow’ backlink dete hai phir bhi Google me inka bahut importance hota hai. Jitne jyada backlinks hote hai blog bhi utna hi jyada search engine me index hota hai.
Backlinks Kya Hai Aur Seo Ke Liye Quality backlinks Kaise Bnaye
Traffic
Ess se aapko referral traffic bhi milta hai. Jab bhi kisi blog par post publish ho to koshis kre ki aap sbse pahle comment kre. Jis se baad me jo readers wahan aate hai wo aapke comment ko read krte hai. Comment aesa likhe ki readers ko aakrshit kar ske. Nice post, great, good aese words na use kre.
Apne real naam aur real blog url se comment kare. Kyoki koi bhi blogger nhi chahta ki uski post par fake id se log comment kare. Comment me km se km2-3 lines post se related likhe.
Black Hat Seo Aapke Blog Ko Kaise Barbaad Kar Skta Hai
SEO kya hota hai or blog ya site pr use kaise kre
SEO me fayda
Off page seo ke anusar other blog par comment krna bhi jruri hota hai. Jab tak aap apne blog niche se related other blog par comment nhi kroge aapka seo adhra rahega. Bahut se blog ‘dofollow’ backlinks comments me dete hai jiska fayda aapko hoga.
Top 100+ High Page Rank Social Bookmarking Sites List 2017
500+Low CPC Adsense List 2017-Block Krke Adsense Earnings Increase Kre
Relationship with Other Blogger
Agr aap other blog par comment kroge to wo bloggers bhi aapke blog par comment krne ke liye aayenge. Ess se aapko ek reader aur subscriber mil jata hai. Agr kisi blogger se aapke ache relation bn jate hai to jrurat pdhne par wo apki help bhi krega.
Ab aap samjh gye honge ki blog commenting ke kya-kya benifit ho skte hai. Agr maine koi point miss kiya ho ya aapka koi swal ho to aap comment me jrur btaye. Share krke apne dosto ko bhi comment krne ke baare me btao.
sir mera blog dekh kar bataye ki isme kya kya kami hai
Bro, Maine aapko email me reply kar diya hai.
Sir aapne bahut saandar post kiya hai….Please ek bar mere blog ka review kare… Aur jo kamiya hai wo bataye …
Bahut badhiya jankari diya hai aapne main ye hmesha sochta rahta tha ki aakhir blog commenting se kya fayda ho skta hai but aapne apne post me meri sari problem clear kar diya hai so iske liye aapko thanks.