Best Free Video Editing Apps Android Aur Youtuber Ke Liye

Mobile se video editing kaise kare mobile per best free videos editing apps kaun-kaun se hai enn sabhi swalon ke jwab apko ess post me milenge. Aaj Ki Ess post me main aapko best Free Video Editing Apps ke baare me btaunga Jo ek android user aur youtuber ke liye bahut hi useful hain.Best Free Video Editing apps for Android ke liye
Aaj kal jis mobile ka cemera best hota hai log ussi mobile ko purchage krna pansad krte hai. Iske piche ek simal logic hai. pahle log cemera ya DSLR se video record krte the. Ab technology change ho gyi hai. Ab jyadatar log apne android smartphone se hi video shoot krte hai. bahut se log video shoot krke social media pr share krte hai.

Android mobile se shoot kiye gye video me kuch kmiya rah jati hai. Aese me aapke friends ko video boring krne lgta hai. Ess problems ko solve krne ke liye bahut se developer lge huye hai. Daily Play Store par video editing app upload ho rahe hai. Enn apps me se kuch apps aese hote hai jinme jyada feature nhi hote. hum har app ko bari-bari se download krke check nhi kar skte. Esliye yahan kuch apps bta raha hun jo apko better result denge.
Mobile users ke liye android hi sabse best platform hota hai. Android google ka hi develop kiya huwa hai. Google play store par android users ke liye bahut se apps hote hai. Enn apps me se bahut se video editing apps paid aur free dono hote hai. Agr aap free video editing apps search kar rahe ho to aapko ye problems aati hai ki enn me se sbse best konsa hai.

Best Free Video Editing Apps for Youtuber And Android

Dosto ess list me maine aapke liye sbse best apps btaye hai.Enn apps ka use krke aap jaisa chahe waisa video bna skte ho. Agr aap youtube par video upload krte hai to ye apps apke bahut kaam ke ho skte hai.

1. Kinnemaster

Kinnemaster ka use jyadatar youtuber krte hai. Ye android ke liye sbse best free video editing apps me se ek hai. Jinke pas computer hota hai wo log bhi apne video ke liye ess android app ka use apne mobile me krte hai. Iske feature me music add krna, background change krna sb kuch hota hai.Isme video layer ke sath-sath aap apni aawaz ko bhi record kar skte ho.Chroma key feature isko sabhi se khas bnata hai. Main bhi apne video ke liye Kinnemaster ka hi use krta hun.

YouTube Go Kya Hai Aur Indian User Ko Iske Kya Fayde Hai

Youtube Se Paisa Kaise Kmaya Jata Hai Full Hindi Guide

Youtube Video Download Kre Bina Kisi Software ke Free Me

2.Filmora Go ke feature:

Wondershare filmora computers aur mobile dono ke liye hota hai. Isme bahut se feature hote hai jinka pryog aap video editing ke liye kar skte ho.Apne mobile ke video aur photos ko import kar skta hai. Aap apni clips ke realtime me preview bhi dekh skte hai.

Isme bahut si stylish themes hoti hai jinka use aap kr skte ho.Aap koi bhi music apne mobile se add kr skte ho.Itna hi nahi aap apne video ko reverse me bhi play kar skte ho.aap apne video ki speed fast ya slow kar skte ho. Khas baat ye hai ki aap speed km ya jyada same video me kar skte ho.
Filmora Go ek best video editer hai. Computer me humko iske bahut saare extra feature milte hai jo ek mobile me nhi milte. kuch limited feature ke sath aap android me iska use kar skte ho.

3.Abobe Premiere Clip

Video editing krne ke mamle me Abobe Premiere ka ek bahut bda naam hai. Isme bahut saare feature hai, jinki list bahut lmbi hai. Isme image aur video se auto-generate video bnane ki power hai agr aap khud editing nahi krna chahte. Agr aap khud editing krna chahte ho to isme bahut se tools, effect aur music ka use kar skte ho.

Android mobile se Without USB cable ke computer me data transfer kese kre

Kya Google app use krna apko nuksaan me daal skta hai

Whats App Pr 10 Se Jyada Photo Kaise Send Kre hindi guide
Download krne ke baad aapko Abobe account me sign in krna hoga.Sign in krne ke baad aapko ek project page dikhai dega.Video editing start krne ke liye my project par touch krke aur apne mobile se video ya photo ko add kre. Isme aap Trimming aur recording bhi kar skte hai. Editing ke sath-sath aap apne video ka preview bhi dekh skte hai.

4. Power Director CyberLink

Android se video editing krne ke liye ess app ka bhi bahut pryog ho raha hai. Ess app se aap mobile me record videos ko bhi edit kar skte ho. Iske ander aap slow motion movie bhi bna skte ho. Aap iske slow motion me speed ko adjust bhi kar skte ho.

Top12 android video editing apps

Power Director me video edit krte time ye dhyan rakhe ki isme power Director ka watermark dikhaai deta hai. Watermark ko remove krne ke liye aapko iska paid version use krna hoga.

Dosto, Yahan maine aapko kuch Free Video Editing Apps btaye hai. Aap inme se kisi ka bhi use kar skte ho. Agr koi best video editor ke baare me aap jante ho to aap mujhe btaye usko bhi ess list me add kar diya jayega. Main chahta hun ki reader ko wo best feature mile jiske liye wo search kar raha hai. Agr apko ye post achhi lgi to to aap ek baar isko apne dosto ke sath share jrur kre.

5 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *