9 WordPress Hosting tips पूरी जानकारी हिन्दी में
Agr aap apni site ke liye WORDPRESS HOSTING lene ki soch rahe ho to kaise pta kre ki konsi web hosting apki site ke liye best rahegi. Free unlimited bandwidth or disk space ke chkro me na padkar apni site ke liye wo hosting choose kre jo best se bhi best ho. यहाँ मैं आपको 9 WordPress Hosting tips बता रहा हूँ।
WordPress hosting lene se pahle kuch important points jrur dhyaan me rakhne chahiye. Bahut si aesi sites hai jo web hosting ke alg alg plan deti hai. Aap kahin se bhi hosting khrid skte ho. Yahan pr mai apko kuch points bta raha hu.Internet pr kafi search krne ke baad mujhe hosting se relative bahut si baate sikhne ko mili jo aaj mai apke sath share kr raha hu taki aap kisi ke chakkr me na aakar sahi hosting plan le ske.
GoDaddy ek best hosting site hai. Isme wo sbhi baate h jo aaj mai apko btane wala hu. India me sbse jyada hosting dene wali GoDaddy se hi hosting khride.
9 WordPress Hosting Tips
1.Apni site requirement check kre –
Aap apni site ki jrurat ke hissab se web hosting kharide. Aap kaisi site bnana chahte ho,apki site pr trafffic kitna aayega. Suruwat me na jyada load hota h na traffic to aap Shared wordpress hosting pr apni site chlaa skte ho baad me jrurat pdne pr aap esko VPS me upgrade bhi kr skte ho.
2.Server up-time kya hona chahiye –
Aap chahoge ki apki site har time open ho ske. Iske liye aap pta kre ki jahan se aap hosting le rahe ho unka server up time kya hai. Ek best hosting server ka up time 99%se jyada hona chahiye.
WordPress Par Ad Injection Plugin Settings Kaise Kare With Photos
Top 100+ High Page Rank Social Bookmarking Sites List 2020
अपने मोबाइल से Pan Card Check कैसे करें-हिंदी में पूरी जानकारी
3.Ek se jyada add-on domain add krne ki aazadi –
Agr kabhi apko ek se jyada site chlaani pde to apko hosting na leni pde. Essliye aesi hosting khride jahan ek se jyada add-on domain jodne ki aazadi ho. Bahut si hosting ke plan me aap aesa kr skte ho.
4.Web hosting plan upgrade-
Apki site jese popular hogi vese vese traffic bhi bdta jayega. Essliye site ko jyada bandwidth, space, RAM ki jrurat pdegi. Apne web hosting provider se ye jrur conform kr lena chahiye ki wo plan upgrade ki shuvida de rahe hai ya nhi.
5.Web hosting plan ka renewal kitna hoga-
Web hosting provider naye naye plan or offer dete rahte hai essliye first year apko hosting low cost me mil jati hai. But next year ye plan bahut costly ho jata h. Essliye hosting provider se puri jaankari le leni chahiye. Hosting provider ke customer care se pahle puri baat kre or plan ke baare me puri details le. Hostiger se 99Rs me aap WordPress Shared hosting le skte hai.
6.Trial or refund policy-
Web hosting lene se pahle aap ye conform krle ki apka hosting provider trial period me apka pura paisa wapis dega ya nhi. Agr kisi karn se aap apne provider se satisfied na ho to kya apko refund milega ya nhi. Kuch provider apko ye shuvida deta hai yadi aap satisfied nhi hote ho to apka pura paisa refund kr diya jayega.
YouTube Go Kya Hai Aur Indian User Ko Iske Kya Fayde Hai
Android mobile se Without USB cable ke computer me data transfer kese kre
7.Site ka backup lene ki shuvida-
Backup kisi bhi site ka ek important part hota hai. Apko apni site ka backup laite rahna chahiye.Agr site me koi problem aa jaye to usko time pr sahi kiya ja ske. Kuch hosting provider apne customers ko site ka backup lene ki shuvida dete hai. Kuch backup points hai jinko aap dhyaan me rakh skte h jese:-
-kya aap control pannel se site ka backup le skte ho.
-kya aap apni site ko khud backup or restore kr skte ho.
-kya apki site ka backup Cron job ya other programm se lya ja skta h.
8.Control Pannel konsa le-
Sabse best control pannel CPannel hota hai. Jyadater log CPannel ko hi use krne ki shlah dete hai. Kuch hosting provider vDeck ya koi or control pannel de dete h jisko use krna ya uss pr kaam krna bahut hi muskil hota h. Essliye apne hosting provider se baat krke CPannel hi lena chahye.
Hosting Site Hostgator Affiliate Ko Join Krke Paisa Kaise Kmaaye
WordPress Par Cloudflare Free SSL/HTTPS Kaise Setup Kare
Reliance Jio Phone Free Me Kaise Prapt Kare Online Booking Kaise Kre
9.Customer support-
Web hosting ka sbse main part hota hai customer support. Yadi apko site me kuch problem aa rahi ho apka customer support usko solve krne me time lgata ho to apko nuksaan bhi ho skta h.Essliye 24*7 customer support dene wali hosting provider se service leni chahiye. Hosting lete time customer support ko dhyaan me rakhkr hi hosting le. Ye sub apko GoDaddy pr milega.
Maine apko kuch baate btaai jo apki wordpress hosting lene me help kregi.Aapki jaankari ke liye btadun ki main GoDaddy ki hosting use krta hun. Aaj tak mujhe koi bhi problems nhi hue hai aur iska customer care bhi bahut achha hai. Aap read krne ke baad comment jrur kre. Apke comments se hi mujhe aage likhne ki shkti milti hai.
Bahut hi badhiye jankari di hai aapne sir ji..