Anchor Text Kya Hota Hai Aur Blog Par Kahan Aur Kaise Use kre

Anchor Text kya hai ye bahut se blogger nhi jante. Jab tak apko anchor text ka gyan nhi hoga aap blogging me succuss nhi ho skte. Anchor text kaise seo ke liye bhi bahut important hota hai. Esko agr aap use krte ho to apka traffic bhi increase hoga. Aaj ki ess post me mai apko ess baare me puri details se btaunga.

Anchor Text Kya Hota Hai Aur Blog Par SEO friendly Anchor Text Kaise Likhe

Anchor Text Kya Hai Aur Isko Kyo Use Krna Chahiye?

Anchor text wo click able text hote hai jinhe hum post me apni dusri post ya kisi other post se related site ka links add karte hai. Sidhi si baat hai blog ya website ki post me use hone wale internal aur extranal links ko hi anchor text bolte hai. Ye wo hyperlinks hote hai jinhe hum apni post me highlighted krte hai. Ess se visiter ka dhyan bhi aakarshit hota hai.

Jab koi visiter apki post ko read kr raha hai to wo uss post se related saari jaankari janne ki koshis krta hai. Agr aapne uss post se related other post ke link bhi add kiye hai to visiter apke uss link par bhi visit krega. Aese me yadi koi visiter ek post se dusri post par jata hai aur apna jyada time bhi lgata hai apki website par. Uske aesa krne se apki site ka bounce rate bhi km hota jata hai.

Anchor Text Ko Post Me Kaise Use Kare:-

Good anchor text:-
Jab Hum apni post me other post ke link use krte time yadi hum main keyword ko hi use krte hai to wo good anchor text mana jata hai. Aese text seo ke liye bhi bahut usefull hote hai. Search engine inko aasani se index kr laita hai. Agr apki kisi post ka naam “facebook page kaise bnaaye” hai aur aap facebook ke baare me koi post likh rahe ho. Aese me yadi aap post ke bich me link add krna chahte ho to main title ki jagah aap facebook page use kre. Ess se apki post ka look bhi acha rahta hai aur visiter bhi smajh jata hai.

Anchor Text Ko Blog SEO me Kaise Use Kre

Bad anchor text:-
Apni post me jab hum koi link add krte hai to apne link ke sath click here, learn more,read more,click on jaise words ka use krte hai. Aesa krna bad anchor mana jata hai. Search engine aese links ko koi value nhi daita aur inhe ignor kr daita hai. Jis se hume traffic loss ho jata hai.

One way anchor text :-
Jab aap apni site me kisi or site link add karte ho or wo aapki site ka link apni site par add nahi karta hai to usko one way anchor text kahte hai. Search engine one way anchor text ki sabse jyada mang karta hai. Isse aapki site ki pagerank increase hoti hai. Isiliye aap apni website par ek external link jrur add kre.

Apni Post Me Ye bhi Dhayaan Me Rakhe

Spam anchor text:-
Simple bhasha mai bolun to  blog post me faltu ke links add karna, bina wajah post me bekar ki sites jaise porn sites ke links add karna spam hota hai. Sirf post words badhane ke liye extra links use karna  bhi spam anchor mana jata hai. Iska sabse bada nuksan ye hai ki blog aur site ki search ranking bilkul low ho jayegi.Agr aap aesa kr rahe hain to maan lijiye aap Black Hat SEO ki taraf jaane wale raste par ja rahe ho.

Ignor full anchor text:-
Post me link add krte time yadi aap other post ke tiltle ki puri ki puri copy krke add krte ho to usko full anchor text kahte hai. Ess se vaise to koi nuksaan wali baat nhi hoti. Aap aesa kr skte ho. But yadi aap kewal keyword par focus krke link add kre to ye aapke liye better rahega. Google keywords wale links ko jaldi index krta hai.

Apne Anchor Text Control Krna Bhi Jruri Hota Hai.

Ek hi post par jrurat se jyada link add krte ho. Ya alag alag post me same hi anchor link use krte ho to aap wrong kr rahe ho. Ye apke blog ke liye bahut bahut problems create kr skte hain. Iske liye aapko search engine ki taraf se penalty ka samna bhi krna padh skta hai. Post se related link hi jaisa ki pahle bhi bta chuka add kre. Search engine me rahne ke liye apko apni limit me hi rahna chahiye.

Blog Ke liye backlinks kaise bnaye
SEO kya hota hai or blog ya site pr use kaise kre

Ab aap samjh gye honge ki anchor text hmare website seo ke liye kitne jruri hai. Agr anchor text use krne me aapse kahin par galti ho gyi ho to aap usko aaj hi thik kr le. Maine apko anchor text ke baare me btaya hai. Agr apka koi swal ho to aap comment me puch skte ho. Ess topic par ek bahut badi post likhi ja skti hai. Agr aapko hmari ye post pansand aayi ho to ek baar share jrure kre.

4 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *