Blogger Blog Par GoDaddy Custom Domain Kaise Add Kre

Blogger blog me Custom Domain name kaise add kiya jata hai aah hum hindi me jante hai. Dosto maine pichhli post me apko godaddy se 99rs me domain kaise laite hai ess baare me btaya tha. Ummid krta hun ki apne domain le liya hoga. Ab apko apne blog pr ye domain kaise add krte hai ess baare me full details hindi me btaunga.custom-domain-kaise-add-kre-blogger-blog-par

Agr aap apne blog pr blogspot.com ki jagah pr custom domain set krna chahte ho to ess post ko pura read kre. Apko ye kaam bahut carefully krna hoga.Apki ek  chhoti si galati apke blog ke liye nuksaan dayak ho skti hai. Ye bahut hi simpal hai agr aap ess post ko follow kre to koi problem nhi hogi. Aaj mai godaddy se liye gye domain ke baaare me bta raha hu.

Blogger Blog Par Custom Domain Kaise Set Kre

Aap new window me apne blog ko open krle or niche diye gye steps ke anusaar apne blo pr settings krte jaye.

domain setting on blog

Step 1.Sabse pahle aap blogger.com ke dashboard me jakr setting pr click kre.Vahan basic choose kre or picture ke anusaar ‘Setup 3rd partyURL for your blog’ pr ok kre.
Ab apko ek empty field me apna custom domain enter krna hoga jo apne go daddy se liya tha.Apko domain www ke sath enter krna hoga jese picture me hai.Custom domain daalne ke baad save pr click kre. Save pr click krne ke baad apko ek error dikhaai dega jese “we have not been able to verify your authority to this domain.Error 32”.

how to add custom domain on blog

Aap soch rahe honge ki ye error kyo aaya,kyoki google ko kaise pta ki ye domain apne khrida hai. Ye baat to hume prove krni hai ki ye domain hmara h or hmaare paas authority hai esko use krne ki. Ab hume jo error aa rahe hai unko apne godaddy domain ke CName record me add krne hai.Aap inn 2 CNAME ko ache se note krle. Ab apko yahan kuch nhi krna ,ess page ko aap aese hi open rakhe.

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise lgaaye

Apne Blog Ko Google Search Console Me Kaise Add kre

Change Domain CName On GoDaddy

Ab ek new window me godaddy ki site open krke log in kre. Log in krne ke baad ‘Manage My Domains’ pr jaye. Agr apke pass ek se jyada domain hai to, jo domain apne blog pr add kya hai uske saamne manage button pr click kre. Uske baad ek new screen open hogi, vahan pr aap DNS Zone  pr click krke ‘Add Record select kre. Ab ek popup window open ho jayegi jisme apko kuch details dalni hogi.
1.Dropdown menu se CNAME pr click kre.
2.Ab hume yahan wo cname record dalne hai jo blogger se humne copy kiye the.
-Type me CNAME likhe.
-Host me www likhe.
-Points me jo blogger pr www ke saamne tha wo wala dalna hai jese ghs.google.com daal de.Ye jyadatar same hi hota hai sbka.
-TTL me 1 Hour hi rahne de.
-Ab save pr click krde.

Ab humne ek CName daal diya hai,dusra daalte hai.
-Add  another pr click kre.
-Type me CName likhe.
-Host me Blogger pr jo www ke niche wala yani 3rd wala dalna hai.
-Points me jo blogger pr last wala Cname hai yani 4th wala dalna hai.
-TTL me 1 Hour hi rahne de.
ab finish krke save changes pr ok krde.Ab hamara kaam pura ho gya hai.

Custom Domain Par “Parked By GoDaddy” Fix Kre

Bahut baar jab hum site open krte hai to’this domain is no longer parked by godaddy ‘ye aa jata hai. Ye error na aaye esske liye 4 ip address ko yahan add krna hota hai. Ab hum sath ke sath ye kaam bhi kr daite hai taki baad me koi problemna aaye.

Ye 4 ip address ess parkaar hote hai:-

216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21
To hum godaddy ke domain me DNS setting page pr the,ab aage shuru krte hai.

This domain is no longer parked by gadaddy'ye na aaye eske liye kuch setting krni hoti hai

-Add another pr click krke dropdown menu se A choose kre.
-Host me @ daal de.
-Points to me 1st ip address 216.239.32.21 daal de.
-TTL me koi change na kre.
-Ab save pr click krke save kre.

SSL Certificate Kya Hai Aur Blog Par Use Kyo Krna Chahiye

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise lgaaye
Aese ‘add another’ pr click krke uper btaye anusaar baaki ke 3 ip address bhi ek ek krke fill krde. Same process hai bs ip address hi alg alg daalne hai. Sbko fill krne ke baad finish krde.
Ab yahan se apna kaam khtm ho gya hai. Ab hume wapis blogger ki uss tab pr jaana hai jo  humne open hi rakhi thi yani jahan humne apna domain daal rakha tha. Vahan pr jaaker save pr click krke save krde. Ab koi error nhi aayega.

Ab apke blog pr apka domain add ho chuka hai aap isko direct open krke check kr skte ho.Agr aapko koi problem aa rahi ho to comment kre.

2 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *