Cloudflare CDN Kya Hota Hai Aur Blog Par Free Setup Kaise Kre

Cloudflare CDN se website ki loading speed km ho jati hai. Google aapke blog ko tabhi top rank krega jab blog ka loading time km hoga. Search Engine me ranking ke liye website ka fast hona bahut hi jaruri hota hai. Jyadatar websites ya blog ka loading time bahut jyada hota hai jis karn google unko top par show nhi krta.CLoudflare CDN free me blog par set kaise kre
Bahut se blogger ess problem ka saamna kar rahe hai. Wo apne blog ko fast krne ke liye daily kuch na kuch krte rahte hai. Par unko ye pta nhi hota ki wo CDN se bhi free me isko kam kar skte hai.

CloudFlare CDN kya hai?

Iska puraa naam hota hai- Content Delivery Network. Waise to internet par bahut si CDN sites available hai, but Cloudflare CDN best service free me deta hai. Aap iska use krke apne blog ke loading time ko 60% tak kam kar skte hai.

CDN ek aesa network hota hai jo user ko uske location ke hisab website content ko distribute krta hai. Sath hi sath content ko fast deliver krne me help krta hai. Cloudflare CDN bhi ek network hai jo website content ko internet me unwanted traffic ke bicho-bich jald se jald user tak transfer krne me helpfull hota hai. Ab aap CDN ke baare me jaan gye honge. Apne blog par CDN ko kaise set up krte hai ye mai aapko simpal steps me btata hun.

CloudFlare CDN ko Blog Me Setup Kaise Kre?

1. Sabse aap CloudFlare me jaiye aur Signup krke apna account bnaaye.
2. Register karne ke baad ‘add site’ par click krke apni website ka url enter kre. Phir uske baad ‘Scan DNS’ par ok krke dns scan kre.scan for dns

3. Ab aapko apne domain ka DNS record krna hoga. Agr aap blogger user ho to apne domain provider ki site se dns add kre. Yadi aap wordpress use krte ho to apni hosting site ke cPanel me apko dns milega.check dns record
NOTE:-CloudFlare ke ess step me kabhi kabhi ye domain ke DNS ko khud hi dhundh leta hai. Essliye DNS add karne ki jarurat nahi hoti. Agr aapke sath bhi aisa hota hai to aap Next me click kar skte hai.
4. Aage aapko apne domain ka nameserver change karna hai. Agr aapne Godaddy se domain liya hai to Domain Management me jaiye Aur manage DNS setting me click karke purane nameserver ko remove karke CloudFlare ka new nameserver add kar dijiye.change nameserver

5.Godaddy domain me nameserver add karne ke baad ‘continue’ par click kar dijiye. Iske baad aapki website CloudFlare CDN server me install ho jayegi.

Kuch Points Jo Aapko Dhyaan Me Rakhne Honge

Servers ko update hone me 2-4 hours tak lag sakte hai essi dauran aapki site offline rahegi. Jab nameserver update ho jayega to aapko email aa jayega. Uske baad aap apni website ko open kar ke dekh sakte hai.

SSL Certificate Kya Hai Aur Blog Par Use Kyo Krna Chahiye

Blogger Blog Ki Sabhi Posts Me About Author Box Kaise Add Kare

Website ke performance ko improve karne ke liye aur google search me rank paane ke liye aapko CDN use karna bahut hi jaruri hota hai.Agar aapke website ki loading speed kam hai tab iska use kare warna koi jruri nhi. Kam se kam ek website ki loading speed time 2-3 seconds tak honi chahiye. Agr aapki website ka loading time 4 second se jyada hai to ye ek bahut bdi problem hoti hai.
CloudFlare CDN ka use kar aap apne blog ki loading speed ko kam kar sakte hai. Agr setup karne me aapko kisi tarah ki pareshani aa rahi to aap mujhe comment me sawal puch sakte hai. Apko ye jankari achi lagi to ess post ko apne dosto ke saath jarur share kare.

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *