Whats App Delete Massage Ko Kaise Restore Kre Hindi help
Aajkal jin logo ke pass bhi smartphone hai wo sbi log whats app chlaate hai. Whats app sbi logo ki personal details ka ek adda bn gya hai. Aaj ki ess post me hum baat krenge ki whats app delete massage ko restore kaise krte hai.
Bahut se log whats app pr chat or video share krte rahte hai. Kai bar log apne chat,video aadi ko delete kar daite hai ya galti se delete ho jaate hai jinke karn koi jruri chat bhi delete ho jati hai. Aese me bahut presaani ho jati hai . Lekin aaj mai aapko btaunga ki delete massage ko wapas kaise prapt kar skte hai.
Yahan Mai aapko 2 method bta raha hun. first method me aap last 1 week ke msg restore kar skte. Second method me aap 2 week ya jyada purane msg restore kar skoge.
1 Week tak ke Whats App Delete Massage Restore Kaise Kre
1.Pahle Whats app ko uninstall kar dijiye.
2.Uske baad phir se install kre.
3.Whats app ko open kre aur phir restore par click kre.
4.Ab aapke new delete huye msg aapko mil jayenge.
Youtube Video se Paisa Kaise Kmaya Jata Hai Full Hindi Guide
Top 100+ High Page Rank Social Bookmarking Sites List 2017
Blogger Blog Par Meta Tag Ko Seo Ke Liye Kaise Add Karte Kre
Youtube New Policy Rules 2017-Channel Par 10k Views Tak Ads Show Nhi Honge.
WordPress Blog Par SEO Friendly Post Kaise Likhe Hindi Help
Facebook Page Apne Naam Se Kaise Bnaye Hindi Me Jaankari
Facebook Primary Email Aur Number Ko Kaise Change Kre
Jyada Purane Whats App Delete Massage Restore Kaise Kre
Ess method me aapke purane massage to rerstore ho jayenge Par last ek week ke new msg gayab ho skte hai. Aapko fikr krne ki koi jrurat nhi hum in gayab huye msg ko bhi phir se prapt kar lainge.
1.Sabse pahle aap sd card ya phone memory ke database folder me janye. Phir-sd card>> whatsapp>> database ko open kre.
2. Yahan apko bahut se files dikhai degi.Yahan se sahi backup file ko choose kre:-msgstore-yyyy-mm-dd.1.db.crypt(msgstore-2017-04-02.1.db.crypt)
3.Isme aap jis date wali file ko restore krna chahte ho uske piche ‘backup. likhkar rename kre jaise:-msgstore-2017-04-02.1.db.crypt.backup
4. Ab whats app ko uninstall kre aur dobara phir se re-install kre.
5.whats app open kre aur restore par ok kre. Aapne jis file ka rename kiya tha uske sabhi msg restore ho jayenge.
Whats App Contact Ki Chat History Kaise Dekhe
Aap sabse pahle whats app ki settings pr jaye or storage usese pr click kre. Iske baad apke saamne bahut saari jankariya open ho jayegi or conversation history bhi aa jayegi. Total msg ki counting screen ke top pr aa jayegi.
Har ek ke sath ki gyi chat ki total counting ko bhi contact name pr dekh skte hai.Contact name pr tap krne pr pta chal jayega ki uss insaan ke sath apki kitni baat hue hai. Sath sath hi msg,audio,video or photos ki counting ka pta bhi chal jayega.
Ab jaan gye honge ki whats app delete massage ko kaise restore kar skte hai? Agr aapko koi suggestion dena ho ya koi baat smjh me naa aayi ho to aap comment jrur kre. Please share this with your friends.