Hosting Site Hostgator Affiliate Ko Join Krke Paisa Kaise Kmaaye
Hostgator ek award winning company hai jiska server India me bhi hai. Jyadatar blogger Hostgator ki hosting pr hi bhrosa krte h.Ye apne costomer ko sabhi parkaar ki hosting deti hai. Aap Hostgator Affiliate program ko join krke free me paisa kma skte ho.
Hostgator Affiliate Ko Join Kyo Krna Chahiye?
Har blogger chahta hai ki wo apne blog se jyada se jyada paisa kmaye. Adsense India ya pakistan ke logo ke liye approve krwana bahut muskil hota h.Agr approve ho bhi jaye to uski cpc bahut kam hoti h jiske karn earning bhi kam hoti h.AdSense ki cpc increase krne ke liye aap hmaari ye post jrur read kre.Jyada earning krne ke liye hme affiliate programme ko join krna pdta hai,Hostgator India bhi ek affiliate website hai.Yadi aap adsense user ho to bhi aap adsense ke sath affiliate ads use kr skte ho.Adsense iske liye allow bhi krta hai.
Hostgator Affiliate website se paise kaise kmaye iske baare me aaj mai apko detail se bta raha hu.Sabse pahle jante hai ki ye kaam kaise krta h.Aap soch rahe honge ki bahut se blogger isko use kr rahe hai to hmari earning kaise hogi.Blog bhi bahut h or adsense user bhi bahut h phir bhi hmko earning ho rahi h na,phir ess se kyo nhi hogi.
Adsense ads ka koi fix rate nhi h pr yahan apko ek fix rate diya jayega. Yadi aap ek single sale bhi krte ha ek mahine me to ye humko 1250 rs degi. World wide bahut se log hosting laine ki soch rahe hote hai. Humko bs unn logo tak apni baat pahunchani hoti hai. Hostgator top 10 hosting companies me se ek hai. Essliye iski hosting lene me koi problem nhi hoti. Iske plan bahut hi cheap rate yani kam rate me diye jaate hai. Buy krne ke liye apke pass Credit Card hona jruri nhi hai,aap debit card ya net banking se bhi pay kr skte ho. Ye to thi kuch baate Hostgator ke baare me.
Hostgator Affiliate Se Income Kaise Hoti hai:-
Yadi aap 30days me ek sale krte ho tp apko 1250rs commission milega.Agr 30 din me 1-5 sale krte ho to 1250×5=6250 rs hote hai. Ye commission jese jese sale jyada hogi bdhta hi jayega. Essi parkar 30 din me 6-10 sale pr 1650/sale,11-15 sale pr 2250/sale,16-20 sale pr 2500rs/sale milta hai. Agr 21se jyada sale kr dete ho 30 din me to apko par sale 3000rs milenge jese 21×3000=63000 rs apko milega.Ye aap Hostgator ki official site pr dekh skte ho.
Hostgator Affiliate par account kaise banaye:-
Kisi bhi Company ke affilite ko join krne ke liye humko uski site pr sign up krna pdta hai. Ydi aap ess pr account bnakar paisa kmana chahte ho to kuch steps follow kre.
1.Sabse pahle yahan click krke Hostgator India website par jaye.
2.Uper right me affiliate pr click kre.
3.Ab apke samne sign up page hoga usko pura fill kre. Fill krne ke baad terms and condition ko mark jrur kre.
Pan Card Status Online Kaise Check Kaise Kre- Hindi Jaankari
Aadhar Card Online Update Aur Correction Kaise Kre Hindi Me Jaankari
4.Uske baad process my affiliate account pr click kr de.Ab apka kaam pura ho gya h. Ab aapki application ko Hostgator team check kregi. Agr apki application accept ki jati hai to apko email kr through inform kr diya jayega. Ek bar accept ho jane pr aap log in krke link ya banner ke code lekar promote kr skte ho.
Agr apko sign up krne me problem aa rahi ho ya koi swaal ho to aap niche comment jrur kre. Aap ess post ko apne dosto ke sath share jrur kre.