Google Adsense Par Ad Units Kaise Bnaye Full Hindi Guide

Ad unit Google Adsense ka bahut hi important part hota hai. Adsense har blogger ka ek sapna hota hai. Adsense approve hona apne aap me ek bahut bd baat hoti hai. Agr kisi ko adsense ka approve mil jata hai to wo apne aap ko bahut lucky smjhta hai. Par usko ye pta nhi hota ki ad units kya hai aur isko kaise banate hai.

Ad units Kya  Hai Aur Kyon Bnani Chahiye?

Enn Ad unit bnana koi bhi muskil kaam nhi hota. Esse har koi aasani se bna skta hai.Aaj apko ess baare me details se btata hu. Agr ek baar aap bna laite ho to uske baad aap jitni mrzi units bna skte ho apni jrurat ke hisab se. Aap jab chaho esme kuch change bhi kr skte ho. Aap adsense ki officially site par bhi dekh skte ho.adsense

Ad units ka sabse bda fayda ye hai ki aap apni mrzi se apne blog par ads show kar skte ho. Apne visiter ke hisab se aap link ad, text ad, image ad ya text and image ads bna skte ho. Kis post me konsi ad lgani hai aur kahan lgaani hai ye aap par hoga. But aap ek post par 3 se jyada ad units use nhi kar skte. Adsense me aap alg alg ad units ki earnings bhi check kar skte ho. Aese bahut se fayde hai ad units ke.

Sabse pahle aap Google Adsense ki website par jaye. Apne Gmail account se log in kre. Yahan ye baat dhyan rakhe ki apko ussi gmail id se log in krna hai jis id par adsense approved ho. Log in krne ke baad aapke samne adsense ka dashboard open ho jayega. Dashboard me apko menu button par click krke My Ads par aaye. Apko yahin par apni Ad unit bnani hogi. Aap ‘New ad unit’ par ok kre aur apni ad unit bnaye jaisa niche btaya gya hai.

Adsense par ads kaise bnaye ki puri jaankari hindi me

Adsense Par Ad Units Kaise Bnaye Step by Step Guide

1.Apni ad unit ka naam yahan likhe. Aap yahan par koi bhi naam de skta de. Apne blog ya website ke categary ka naam bhi use kr skte ho.
2.Isme apko apni ads ka size select krna hoga. Aap ads kahan par show krna chahte ho uss hisab se size chune. Yahan par mai apko recommended ad size select krne ke liye suggest krunga. Ess type ki ads device aur site ke layout ke anusaar apne aap adjust ho jati hai.
3.Yahan par apko apni ads ka type choose krna hai.Aap kis type ki ads apne blog par dikhana chahte ho-Text and Display,Display ads aur Text ads.Text and Display par aap ok kre.Sbse jyada click aur CPC essi parkaar ki ads par milti hai.

Adsense Hosted account Aur Adsense Non-Hosted Account Kya hota Hai

Adsense Native Ads Kya Hai Aur Blog Par Use Kaise Kare

4.Aap apni ads ke style ko customise kr skte ho. Yahanse aap apni post ke colour se matched style bnale taki clicks ke chance jyada ho jayen. Copy and edit par click krke aap isko edit kr skte ho. Yahan ap border, text, tiltle ets ka colour change apni site ke hisab se krlo.
5.Isme aap apne custom channels ko add kr skte ho jo aapne bna rakhe ho. Agr aapne Custom channel nhi bnaya ho to yahan se aap bna skte ho. Aap alag alag category ke liye alg alg channel bna skte ho.
6.Ye options essliye hota hai ki yadi google ke pass target ads nhi hoti hai to ads ki jagah kewal space show hoga. Ab aap yahan jo chahe wo settings kr skte ho.

Ad Units Blog Ya Website Me Lgate Kaise hai?

Apne Blogger ke dashboard jake aap temlate editer me lga skte ho. Agr aap code se panga nhi laina chahte to layout me jakar jahan aap ad lgana chahte ho vahan “ad a gadget” phir ‘html, select krke apne code paste kr do. Aap ye code  apni post ke editer me jaker  html me jahan apka dil kre code paste krke lga skte.

Google AdSense Kya Hai Or Ess Se Earnings Kese Hoti Hai
Adsense ki low CPC kaise bdhaye
Google Adsense par ad units kaise bnate hai ess baare me puri jankari mil gyi hogi. Ummid krta hu aapne apne ads bna liye honge. Agr apko kuch puchhna ho ya apka koi swal ho to aap comment krke puchh skte ho. Apka ek share mere liye bahut jruri hai to aap esko share jrur kre.

5 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *