Jio Prime Membership Kya Hai Aur Iske Kya Fayde Hai Free me Member bne
Reliance Jio Prime Membership kya hai aaj hum ess par details me baat krte hai. Jio ne 4G sim launch kiya tha. Jab other network companies data pack,sms pack naye naye pack dekar loot rahi thi. Mukesh Ambani ne anchanak Jio ke naam se sab kuch free service shuru kr di.
Apne launch se ab tak Jio ne apne users ke liye 2 alag alg offers pesh kiye. Pahle offer me apko 31 December 2016 tak 4 gp daily 4G data ke sath sub kuch free diya. TRAI ke anusar koi network company 90 din se jyada ka plan pesh nhi kr skti. Essliye New Year par Jio ne Happy New Year ke naam se 31 March 2017 tak 1 gp daily 4G data ke sath aur sb free kr diya tha. Lekin 31 March ke baad Jio ka plan kya hoga iska intjaar sabhi user kr rahe the.
Jio Prime Membership free me kaise le skte hai ?
Jio ne apne customer ke liye ek offer pesh kiya hai. Aap apne number ko online recharge ,paytm, retailer ya kahin se bhi recharge krwa skte ho. Agr aap Jio Money se 99rs ka recharge krte ho to apko 50rs cash back milga. Uske baad yadi aap 303 ka recharge bhi Jio Money se kroge to 50rs uss par bhi mil jayega. Ess hisaab se apko rs 100 cash back mil jaynge. Jio Money Paytm ki tarah hi ek app hoti hai jo Reliance ne apni Jio Sim ke sath hi launch ki thi. Iska main karn ye hai ki Reliance apni Jio Money ko bhi promote kar raha hai. Ji se aap free me bhi membership le skte ho.
Mukesh Ambani ne 21 febuary ko apne speech me sabhi Jio users ko jio par viswas krne ke liye dhanywad diya. Jio ke 150 din me 100 million se jyada user ho gye hain. Ab tak 5 mahino me 100 crore se jyada GP use krke pure India world me number ek par aa gya.
Reliance Jio Prime Membership Kya Hai Aur Kyo Laini Chahiye:-
At the time apko 1gp data 4g speed me daily milta hai.Uske baad apki data speed km ho jati hai. Jabki aur sabhi service unlimited free hai. Agr aap ye sabhi service March 2018 tak laina chahte ho to apko Reliance Jio Prime Membership laini pdegi.
Jio Prime Membership laine ke liye apko 15 April 2017 se pahle pahle 99rs ka recharge krana hoga.Ye offer prepaid aur postpaid 2no parkaar ke users ke liye hai. Apka number prepaid hai ya postpaid hai ye pta lgaane ke liye aap My Jio app me check kr skte ho. 99rs ka recharge aap jio store,retailer ya online khud kr skte ho.
Jio Prime Membership Laine Ke kya fayde Hai?
Membership laine ke baad apko 303 rs ka monthy recharge krwana hoga. Aap 303 rs ke recharge se aap Happy New Offer ko continue rakh skte ho. Sabse badi baat aap Jio Summer Surprise ka fayda bhi le skte ho. Jiske anusar next 3 month tak aap Jio ki sabhi Free service ka mza le skte ho. Aur uske July me 303 rs ka recharge krne par aap unlimited voice aur other service ka benefit le skte ho. Apko daily 1gp data 4g ki speed se milega uske baad speed 128kbps kr di jayegi. Raat ko Happy Hours yani 2am se laiker 5am tak aap unlimited data use kr skte ho. Happy Hours me use kiya gya data daily limit me count nhi kiya jayega.
Aapko 99rs ka recharge sirf ek hi bar krana hoga. Ye recharge aap 15 April se pahle krana hoga. Ess offer me registration sirf wo hi log krwa skte hai jo at the timejio user hai ya 15 April se pahle sim activate krwakar 99rs ka recharge krwate ha. Aap Prime Membership laine ke baad koi bhi plan choose kr skte ho. Iske plan 149 rs se laker 9999 rs tak ke hai. Aap normal membership aur prime membership ke plan khud compare kr skte ho. Agr aap Membership nhi laite ho to aapko total sirf 2gp data hi milgega.
Ummid krta hu aapko Reliance Jio Prime Membership plan samjh me aa gya hoga. Jyada jaankaari ke liye aap comment kr skte ho. Agr apko meri ye post achhi lgi ho to apne dosto ke sath isko share bhi jrur kre.
sir bahot hi badiya jankari di hai aapne sir aap theme kosi use kr rahe ho
thanks for comment bro, keep visiting.
Bro, my theme is Bloggie